Kaisi Hai Ye Rut (From "Rehnuma") Lyrics
(Kaisi hai yeh rut ke jis mein phool banke dil khile
Ghul rahe hain rang saare, ghul rahi hai khushbuein)- 2
Chaandni, jharne, ghataayein, geet, baarish, titliyaan
Hum pe ho gaye hai sab maherbaan
Kaisi hai yeh rut ke jis mein phool banke dil khile
Dekho, nadi ke kinaare
Panchhi pukaare kisi panchhi ko
Dekho, yeh jo nadi hai
Milne chali hai saagar hi ko
Yeh pyaar ka hi saara hai caarvaan
Kaisi hai yeh rut ke jis mein phool banke dil khile
Oh, kaise kisi ko bataaye
Kaise yeh samjhaaye, kya pyaar hai
Is mein bandhan nahin hai
Aur na koi bhi deevaar hai
Suno pyaar ki niraali hai daastaan
Kaisi hai yeh rut ke jis mein phool banke dil khile
Ghul rahe hain rang saare, ghul rahi hai khushbuein
Chaandni, jharne, ghataayein, geet, baarish, titliyaan
Hum pe ho gaye hai sab maherbaan
Kaisi hai yeh rut ke jis mein phool banke dil khile
Writer(s): Javed Akhtar, Ehsaan Noorani, Shankar Mahadevan, Aloyius Peter Mendonsa
Lyrics powered by www.musixmatch.com
More from Perfect 10: Love Story
Loading
You Might Like
Loading
5m 30s · Hindi